Assalamu Alaikum wa rahmatullahi wa barakatuhu
INNA LILLAHI WA INNA ILAIHI RAJIOON
Hazrat Ibrahim Shah Qadri Chishti Yamani Sajjade Nashin Halkatta Shareef ko Allah se bulava aaya aur aap 14 Oct 2011 ko duniya se parda farmaye
MECCA MASJID HYDERABAD MEIN Insha Allah 16 Oct 2011 Zohar mein NAMAZE JANAZA PADHNE KA ELAN HUA HAI.
Jazakallah
Har gaon har shaher me hai charcha Mere Qadeer ka"
"har khas o aam ban gaya sheda Qadeer ka"
"kalme ke noor ne unhe purnoor kardiya"
"hai choudhwi ka chand sarapa Qadeer ka"
"guzari hai zindagani tawaqqal par marhaba"
"zaahid bhi nahi jaanta taqwa Qadeer ka"
"woh khush nasib hai jinhe nisbat hai aap se"
"duniya me jin ke sar pe hai saya Qadeer ka"
"yaa rab meri nazar ko aaye nazar subho sham"
"surat atique shah ki aur jalwa Qadeer ka"
"dono jahan ki dolate kalme me jazb hai"
"kitna latiftar hai jumla Qadeer ka"
"naza bahot hai chahne wale huzur ke"
"ek tu hi nahi hai aashique o sheda Qadeer ka"
8 comments:
assalam alikum bhai, ALLAH SUBHANA HU TALA mere peer ko jannatul firdose me ala se ala mukham dey, bade afsoas aor gham ki baat hai, ab wo mahfil e sama me ronaq kaha se ayegi jo mere peer hi nahi rahe...yaqeen he nahi ho paa raha hai ke saheb baba nahi rahe..
amjad (khan9885@yahoo.com)
Allah Aap mere peere Murshid ko Janat me dakhil kare,,yehi hum sab peer bahi ki dua hai,
Zamane ke sath chere badal the hai,,aap humare hi sath hai chera badal gaya hai,duty change hua hai promotion hua,
Allah Aap mere peere Murshid ko Janat me dakhil kare,,yehi hum sab peer bahi ki dua hai,
Zamane ke sath chere badal the hai,,aap humare hi sath hai chera badal gaya hai,duty change hua hai promotion hua,Aman Sheikh Qadri Doha Qatar
Aap mere Peere Murshid ke Peer hain...Innalillahi Wa inna ilahi ul Raji un....
Bada khus naseeb hu ke mujhe baba ke darshan miley,
Hum Sabhi Bahut Khus Nasib Hai ki Qadeeri Silsila Mila.Mujhe Mere Peero Murshid Mile Jo Ba Nishbad Mere Bade Dada Peer Ke Murid Hai aur Me Unka JO Mere Wazid Khan Hai jo Parasia Jila Chhindwara.Madhaya Pradesh Se Hai
Ya Mere Mola Sab Tere Hawale.
Post a Comment